Wednesday, July 13, 2016

Pyaar

Pyaar ki neev par duniya khadi hai
jab tak pyaar hai
aakhir sab pyaare hain -

Doosra galti kare toh
bhi main pyaar dikhaoon
doora haath uthaaye toh doosra gaal de doon
balatkaar kare - toh phir karne doon?

Leikin sawaal yeh hai ki
kahan tak ka pyaar pragya hai aur kab woh pyaar moorkhtaa,
aur
aadmi ko pyaar dikhaana kyon nahi aata hai?
usko pyaar ki ehimiyat kyon nahi pata hai?

Woh sirf dabaav jaanta hai
zhor, tej, bal, jaanta hai
jo pyaar ka virodhi hai.

No comments: